Wednesday, September 19, 2012

....kya baat hogi !!!

Zindagi dur ab talak andhere me hai,
Tere aane se jab wo jagmaga uthegi...to koi baat hogi...

Sehmi si ye, ruki ruki si zindagi ko,
Nayi udaan milegi, wo saugaat hogi...

Kuch khwaab mere, kuch sapne tere,
Bunenge zindagi ka taana-baana..to kuch baat hogi...

Kuch khamoshiyaan meri, aur kuch baatein teri,
Aisi pyaar ki zubaan ki....kya haseen raat hogi...

Baahon ke tere aashiyaane me jab,
Guzregi meri ye zindagi...jazbaaton ki wo kya barsaat hogi...

Shararatein meri aur Shaitaaniyaan teri,
Jeete tu jab mujse, ye meri kya maat hogi...


Zindagi dur ab talak andhere me hai,
Tere aane se wo jagmaga uthegi...aur pyaar ki barsaat hogi !


~ Krupali

No comments:

Post a Comment