Sunday, April 25, 2010

Kis se Kare Hum Baat !!

Toot padi bijli sapno par,
lagi bhagya par ghaat,
aaj aankh me aasu lekar,
baithi hu mai khali haath...

Sabke ghar me suraj chamka,
apne ghar me raat,
kise dikhau dil ka chhaalaa,
kiske aage jodu mai haath...

Aaj har taraf hai keval
updesho ki barsaat,
koi bhi to na dard samajne wala
kis se karu mai baat....

Sisak rahi mere dil ki har aarzoo,
bigad gai har baat,
aaj aankh me aasu lekar,
baithi hu mai khali haath...

Kise sunau dil ka haal,
Kis se karu mai baat....

No comments:

Post a Comment